Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


tere lutf-o-karam se jo daman mein mere aaya hai


tere lutf-o-karam se jo dāman meñ mere aayā hai
siine se vo phuul lagāyā ḳhaar vo maiñ ne chūmā hai

paañv kī zanjīr sahī terī nazroñ meñ rasm-e-vafā
mere dil se pūchho to ye mere dil kā gahnā hai

apne ġhamgīñ dil ko ham ne bahlāyā go jatanoñ se
lekin machal gayā ye jab bhī naam tumhārā aayā hai

mere TuuTe dil meñ gūñjī aah kisī dukhiyāre kī
ab maiñ samjhā gahrā kitnā dukh se dukh kā naata hai

raakh meñ barsoñ se hai chhupī ik tere pyaar kī chiñgārī
yaad kā jhoñkā jab bhī aayā sho.ala sā ik lapkā hai

naam hai terā pyārā kitnā yaad hai kitnī mīThī sī
umr hai un ko nā-kāfī ik umr kā arsa thoḌā hai

sūrat bholī-bhālī hai aur dil bhī kasak se ḳhālī hai
pyaar meñ us ko kyā uljhā.e aaTh pahar kā ronā hai

kis kī nazar meñ mastī hai ye kis ke tabassum kā jaadū
chhalke sāgar bahke riñd aur mai-ḳhāna bhī jhūmā hai

tanhā.ī kī rātoñ meñ bhī dil to kabhī tanhā na rahā
yaad kisī kī aatī hai aur dard kā pahrā rahtā hai

bhuul hī jaa.eñ achchhā hai aur choTeñ dil par khaa.ī thiiñ
dil to lekin phir se purāne zaḳhm kuredā kartā hai

biite dinoñ ke sāyoñ se kuchh chehre ubhre pyāre se
yaad se jis ke ab bhī 'habīb' is dil kā gulshan mahkā hai

tere lutf-o-karam se jo daman mein mere aaya hai
sine se wo phul lagaya KHar wo main ne chuma hai

panw ki zanjir sahi teri nazron mein rasm-e-wafa
mere dil se puchho to ye mere dil ka gahna hai

apne ghamgin dil ko hum ne bahlaya go jatanon se
lekin machal gaya ye jab bhi nam tumhaara aaya hai

mere TuTe dil mein gunji aah kisi dukhiyare ki
ab main samjha gahra kitna dukh se dukh ka nata hai

rakh mein barson se hai chhupi ek tere pyar ki chingari
yaad ka jhonka jab bhi aaya shoala sa ek lapka hai

nam hai tera pyara kitna yaad hai kitni miThi si
umr hai un ko na-kafi ek umr ka arsa thoDa hai

surat bholi-bhaali hai aur dil bhi kasak se KHali hai
pyar mein us ko kya uljhae aaTh pahar ka rona hai

kis ki nazar mein masti hai ye kis ke tabassum ka jadu
chhalke sagar bahke rind aur mai-KHana bhi jhuma hai

tanhai ki raaton mein bhi dil to kabhi tanha na raha
yaad kisi ki aati hai aur dard ka pahra rahta hai

bhul hi jaen achchha hai aur choTen dil par khai thin
dil to lekin phir se purane zaKHm kureda karta hai

bite dinon ke sayon se kuchh chehre ubhre pyare se
yaad se jis ke ab bhi 'habib' is dil ka gulshan mahka hai


Leave a comment

+