Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Bhopali

  • Ghazal


bimar-e-mohabbat ki dawa hai ki nahin hai


bīmār-e-mohabbat kī davā hai ki nahīñ hai
mere kisī pahlū meñ qazā hai ki nahīñ hai

suntā huuñ ik aahaT sī barābar shab-e-vāda
jaane tire qadmoñ kī sadā hai ki nahīñ hai

sach hai ki mohabbat meñ hameñ maut ne maarā
kuchh is meñ tumhārī bhī ḳhatā hai ki nahīñ hai

mat dekh ki phirtā huuñ tire hijr meñ zinda
ye pūchh ki jiine meñ maza hai ki nahīñ hai

yuuñ DhūñDte phirte haiñ mire baad mujhe vo
vo 'kaif' kahīñ terā pata hai ki nahīñ hai

bimar-e-mohabbat ki dawa hai ki nahin hai
mere kisi pahlu mein qaza hai ki nahin hai

sunta hun ek aahaT si barabar shab-e-wada
jaane tere qadmon ki sada hai ki nahin hai

sach hai ki mohabbat mein hamein maut ne mara
kuchh is mein tumhaari bhi KHata hai ki nahin hai

mat dekh ki phirta hun tere hijr mein zinda
ye puchh ki jine mein maza hai ki nahin hai

yun DhunDte phirte hain mere baad mujhe wo
wo 'kaif' kahin tera pata hai ki nahin hai


Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-48 Page Number-97) Author : Tufail Ahmad Ansari Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+