Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Uzlat

  • Ghazal


jun gul az-bas-ki junun hai mera saman ke sat


juuñ gul az-bas-ki junūñ hai mirā sāmān ke saat
chaak kartā huuñ maiñ siine ko garebān ke saat

chashm-e-tar haiñ mirī sahrā hai junūñ kī mamnūñ
rabt hai rone kuuñ mere isī dāmān ke saat

be-ḳhudī kā hai maza shor-e-asīrī se mujhe
rañg uḌe hai mirā zanjīr kī afġhān ke saat

juuñ bagūla huuñ maiñ minnat-kash-e-sahrā-gardī
zindagānī hai mirī sair-e-bayābān ke saat

'uzlat' is baaġh meñ laala sā huuñ maiñ dard-nasīb
dil-e-zaḳhmī se ugā dāġh-e-namak-dān ke saat

jun gul az-bas-ki junun hai mera saman ke sat
chaak karta hun main sine ko gareban ke sat

chashm-e-tar hain meri sahra hai junun ki mamnun
rabt hai rone kun mere isi daman ke sat

be-KHudi ka hai maza shor-e-asiri se mujhe
rang uDe hai mera zanjir ki afghan ke sat

jun bagula hun main minnat-kash-e-sahra-gardi
zindagani hai meri sair-e-bayaban ke sat

'uzlat' is bagh mein lala sa hun main dard-nasib
dil-e-zaKHmi se uga dagh-e-namak-dan ke sat

RECITATIONS Fasih Akmal



00:00/00:00 jun gul az-bas-ki junun hai mera saman ke sat Fasih Akmal

Source:

Leave a comment

+