Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imran Shamshad

  • Ghazal


yun bhaTakne mein ki hai basar zindagi


yuuñ bhaTakne meñ kī hai basar zindagī
jaise aa jā.egī raah par zindagī

ye karo vo nahīñ vo karo ye nahīñ
Toktī hī rahī umr bhar zindagī

is taraf chal diye to kisī ne kahā
us taraf aa.iye hai udhar zindagī

is taraf jā.iye us taraf jā.iye
kis taraf jā.iye hai kidhar zindagī

taultī bhī rahī Doltī bhī rahī
kuchh idhar zindagī kuchh udhar zindagī

kuchh patā to chale kuchh ḳhabar to mile
ham kidhar jā rahe haiñ kidhar zindagī

ham nahīñ jānte ye nahīñ jānte
hai ḳhabar-dar-ḳhabar be-ḳhabar zindagī

hai kahīñ saikḌoñ ekḌoñ kā mahal
aur kahīñ ek kamre kā ghar zindagī

yun bhaTakne mein ki hai basar zindagi
jaise aa jaegi rah par zindagi

ye karo wo nahin wo karo ye nahin
Tokti hi rahi umr bhar zindagi

is taraf chal diye to kisi ne kaha
us taraf aaiye hai udhar zindagi

is taraf jaiye us taraf jaiye
kis taraf jaiye hai kidhar zindagi

taulti bhi rahi Dolti bhi rahi
kuchh idhar zindagi kuchh udhar zindagi

kuchh pata to chale kuchh KHabar to mile
hum kidhar ja rahe hain kidhar zindagi

hum nahin jaante ye nahin jaante
hai KHabar-dar-KHabar be-KHabar zindagi

hai kahin saikDon ekDon ka mahal
aur kahin ek kamre ka ghar zindagi


Leave a comment

+