Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Liaqat Jafri

  • Ghazal


haalanki pahle din se kaha ja raha hun main


hālāñki pahle din se kahā jā rahā huuñ maiñ
lekin kahāñ kisī ko sunā jā rahā huuñ maiñ

lāchār o bad-havās ghane jañgaloñ ke biich
dariyā ke saath saath chalā jā rahā huuñ maiñ

pachhtā rahe haiñ sab mirā pinjar nikāl kar
dīvār meñ dobāra chunā jā rahā huuñ maiñ

hālāñki pahle saa.e se rahtī thī kashmakash
ab apne bojh se hī dabā jā rahā huuñ maiñ

tere sambhālne se bhī pakḌī na maiñ ne aag
ab aur bhī ziyāda bujhā jā rahā huuñ maiñ

pahle-pahal to ḳhud se hī mansūb the ye ashk
ab us kī aañkh se bhī bahā jā rahā huuñ maiñ

ye din bhī kaisā saḳht shikanja hai 'ja.afarī'
ab jis pe saarī raat kasā jā rahā huuñ maiñ

haalanki pahle din se kaha ja raha hun main
lekin kahan kisi ko suna ja raha hun main

lachaar o bad-hawas ghane jangalon ke bich
dariya ke sath sath chala ja raha hun main

pachhta rahe hain sab mera pinjar nikal kar
diwar mein dobara chuna ja raha hun main

haalanki pahle sae se rahti thi kashmakash
ab apne bojh se hi daba ja raha hun main

tere sambhaalne se bhi pakDi na main ne aag
ab aur bhi ziyaada bujha ja raha hun main

pahle-pahal to KHud se hi mansub the ye ashk
ab us ki aankh se bhi baha ja raha hun main

ye din bhi kaisa saKHt shikanja hai 'jafari'
ab jis pe sari raat kasa ja raha hun main

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Liaqat Jafri RECITATIONS Liaqat Jafri



00:00/00:00 haalanki pahle din se kaha ja raha hun main Liaqat Jafri

Leave a comment

+