Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmi Badayuni

  • Ghazal


namak ki roz malish kar rahe hain


namak kī roz mālish kar rahe haiñ
hamāre zaḳhm varzish kar rahe haiñ

suno logoñ ko ye shak ho gayā hai
ki ham jiine kī sāzish kar rahe haiñ

hamārī pyaas ko raanī banā leñ
ka.ī dariyā ye koshish kar rahe haiñ

mire sahrā se jo bādal uThe the
kisī dariyā pe bārish kar rahe haiñ

ye sab paanī kī ḳhālī botaleñ haiñ
jinheñ ham nazr-e-ātish kar rahe haiñ

abhī chamke nahīñ 'ġhālib' ke juute
abhī naqqād polish kar rahe haiñ

tirī tasvīr, pañkhā, mez, muflar
mire kamre meñ gardish kar rahe haiñ

namak ki roz malish kar rahe hain
hamare zaKHm warzish kar rahe hain

suno logon ko ye shak ho gaya hai
ki hum jine ki sazish kar rahe hain

hamari pyas ko rani bana len
kai dariya ye koshish kar rahe hain

mere sahra se jo baadal uThe the
kisi dariya pe barish kar rahe hain

ye sab pani ki KHali botalen hain
jinhen hum nazr-e-atish kar rahe hain

abhi chamke nahin 'ghaalib' ke jute
abhi naqqad polish kar rahe hain

teri taswir, pankha, mez, muflar
mere kamre mein gardish kar rahe hain


Leave a comment

+