Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Madhukar Jha Khuddar

  • Ghazal


na-rasai maqam hoti hai


nā-rasā.ī maqām hotī hai
nīm-e-shab-jāñ tamām hotī hai

shams kā ham kahā nahīñ sunte
chhāñv meñ riñd shaam hotī hai

aisā us ne kiyā mujhe kāmil
bazm-e-gulzār aam hotī hai

jab galī meñ tirī ḳhilāfat hai
raah arz-e-qayām hotī hai

daar 'ḳhuddār' chal paḌā ḳhud hī
ab qazā us ke naam hotī hai

na-rasai maqam hoti hai
nim-e-shab-jaan tamam hoti hai

shams ka hum kaha nahin sunte
chhanw mein rind sham hoti hai

aisa us ne kiya mujhe kaamil
bazm-e-gulzar aam hoti hai

jab gali mein teri KHilafat hai
rah arz-e-qayam hoti hai

dar 'KHuddar' chal paDa KHud hi
ab qaza us ke nam hoti hai


Leave a comment

+