asīrān-e-qafas aisā to ho tarz-e-fuġhāñ apnā
ki ho sayyād ḳhud bhī rafta rafta ham-zabāñ apnā
kiye jā kaam haañ ai gardish-e-daur-e-zamāñ apnā
hameñ bhī dekhnā hai kaise miTtā hai nishāñ apnā
adū haiñ bijliyāñ apnī na dushman āsmāñ apnā
hameñ ḳhud apne hāthoñ phūñkte haiñ āshiyāñ apnā
na kho de sust-gāmī ham ko bāzi-gāh-e-hastī meñ
na gard-e-kārvāñ rah jaa.e ban kar kārvāñ apnā
chaman ke patte patte par haiñ yārab bijliyāñ qābiz
kahāñ le jaa.eñ murġhān-e-chaman ab āshiyāñ apnā
urūs-e-manzil-e-maqsūd mil hī jā.egī ik din
yūñhī chande rahā garjā vo paimā kārvāñ apnā
jalā deñ ham qafas kī titliyāñ sho.ala-navā.ī se
har ik murġh-e-chaman 'āsī' agar ho ham-zabāñ apnā
asiran-e-qafas aisa to ho tarz-e-fughan apna
ki ho sayyaad KHud bhi rafta rafta ham-zaban apna
kiye ja kaam han ai gardish-e-daur-e-zaman apna
hamein bhi dekhna hai kaise miTta hai nishan apna
adu hain bijliyan apni na dushman aasman apna
hamein KHud apne hathon phunkte hain aashiyan apna
na kho de sust-gami hum ko bazi-gah-e-hasti mein
na gard-e-karwan rah jae ban kar karwan apna
chaman ke patte patte par hain yarab bijliyan qabiz
kahan le jaen murghan-e-chaman ab aashiyan apna
urus-e-manzil-e-maqsud mil hi jaegi ek din
yunhi chande raha garja wo paima karwan apna
jala den hum qafas ki titliyan shoala-nawai se
har ek murgh-e-chaman 'asi' agar ho ham-zaban apna
Leave a comment