Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abdul Ahad Saaz

  • Ghazal


jo kuchh bhi ye jahan ki zamane ki ghar ki hai


jo kuchh bhī ye jahāñ kī zamāne kī ghar kī hai
rūdād ek lamha-e-vahshat-asar kī hai

phir dhaḌkanoñ meñ guzre huoñ ke qadam kī chaap
sāñsoñ meñ ik ajiib havā phir udhar kī hai

phir duur manzaroñ se nazar ko hai vāsta
phir in dinoñ fazā meñ hikāyat safar kī hai

pahlī kiran kī dhaar se kaT jā.eñge ye par
iz.hār kī uḌaan faqat raat bhar kī hai

idrāk ke ye dukh ye azaab āgahī ke dost!
kis se kaheñ ḳhatā nigah-e-ḳhud-nigar kī hai

vo an-kahī sī baat suḳhan ko jo pur kare
'sāz' apnī shā.erī meñ kamī us kasar kī hai

jo kuchh bhi ye jahan ki zamane ki ghar ki hai
rudad ek lamha-e-wahshat-asar ki hai

phir dhaDkanon mein guzre huon ke qadam ki chap
sanson mein ek ajib hawa phir udhar ki hai

phir dur manzaron se nazar ko hai wasta
phir in dinon faza mein hikayat safar ki hai

pahli kiran ki dhaar se kaT jaenge ye par
izhaar ki uDan faqat raat bhar ki hai

idrak ke ye dukh ye azab aagahi ke dost!
kis se kahen KHata nigah-e-KHud-nigar ki hai

wo an-kahi si baat suKHan ko jo pur kare
'saz' apni shaeri mein kami us kasar ki hai


Leave a comment

+