Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vikas Rana

  • Ghazal


tere pahlu ya darmiyan nikle


tere pahlū yā darmiyāñ nikle
ek jaañ hai kahāñ kahāñ nikle

is tarah se kabhī sameT mujhe
mere khulne par ik jahāñ nikle

sochtā huuñ yuuñ na ho ik din
ye zamīñ koī āsmāñ nikle

aa tirī saañs saañs pī luuñ maiñ
jism se ruuh kā dhuāñ nikle

tere pahlu ya darmiyan nikle
ek jaan hai kahan kahan nikle

is tarah se kabhi sameT mujhe
mere khulne par ek jahan nikle

sochta hun yun na ho ek din
ye zamin koi aasman nikle

aa teri sans sans pi lun main
jism se ruh ka dhuan nikle

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Vikas Rana

Source: Book : siip (Magzin) (Pg. 239) Author : Nasiim Durraani Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly)) Edition : 39 (Quarterly)

Leave a comment

+