Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Dehlvi

  • Ghazal


harif-e-raaz hain ai be-KHabar dar-o-diwar


harīf-e-rāz haiñ ai be-ḳhabar dar-o-dīvār
ki gosh rakhte haiñ sab sar-ba-sar dar-o-dīvār

naved-e-maqdam-e-fasl-e-bahār sun sun kar
uḌeñge shauq meñ be-bāl-o-par dar-o-dīvār

shab-e-firāq meñ ghar mujh ko kaaTe khātā hai
banā hai ik sag-e-dīvāna har dar-o-dīvār

tumhāre ġham ne vo sūrat mirī banā.ī hai
ki ro rahe haiñ mire haal par dar-o-dīvār

hujūm-e-rañj-e-qalaq meñ 'zahīr' kyā kahiye
nahīñ haiñ mūnis-e-ḳhalvat magar dar-o-dīvār

harif-e-raaz hain ai be-KHabar dar-o-diwar
ki gosh rakhte hain sab sar-ba-sar dar-o-diwar

nawed-e-maqdam-e-fasl-e-bahaar sun sun kar
uDenge shauq mein be-baal-o-par dar-o-diwar

shab-e-firaq mein ghar mujh ko kaTe khata hai
bana hai ek sag-e-diwana har dar-o-diwar

tumhaare gham ne wo surat meri banai hai
ki ro rahe hain mere haal par dar-o-diwar

hujum-e-ranj-e-qalaq mein 'zahir' kya kahiye
nahin hain munis-e-KHalwat magar dar-o-diwar


Leave a comment

+