Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Madhukar Jha Khuddar

  • Ghazal


be-zabanon ki kahani ki zaban hote rahe


be-zabānoñ kī kahānī kī zabāñ hote rahe
ham to yaaro bārhā ashk-e-ravāñ hote rahe

dil pe chāhe jitne ḳhanjar ho lage ai jān-e-jāñ
us galī meñ ham sarāsar rā.egāñ hote rahe

jaam aisā Daal saaqī zahr sā ab piis kar
aaj us ko dekh sab jalve ayaañ hote rahe

jaan maqtal par luTā dī be-sabab 'ḳhuddar' ne
jurm us ke lan-tarānī se bayāñ hote rahe

is nagar meñ be-asar bāda-kashī 'ḳhuddar' kī
vo na jaane kin ġhamoñ meñ nā-tavāñ hote rahe

be-zabanon ki kahani ki zaban hote rahe
hum to yaro barha ashk-e-rawan hote rahe

dil pe chahe jitne KHanjar ho lage ai jaan-e-jaan
us gali mein hum sarasar raegan hote rahe

jam aisa Dal saqi zahr sa ab pis kar
aaj us ko dekh sab jalwe ayan hote rahe

jaan maqtal par luTa di be-sabab 'KHuddar' ne
jurm us ke lan-tarani se bayan hote rahe

is nagar mein be-asar baada-kashi 'KHuddar' ki
wo na jaane kin ghamon mein na-tawan hote rahe


Leave a comment

+