jab se ummīd bāñdhī patthar par
dhuul sī jam ga.ī muqaddar par
kis ne chādar dhueñ kī taanī hai
mere jannat-misāl manzar par
mere chāragaroñ ne rakkhā hai
ek ik rāste ko Thokar par
āsmāñ kī talab meñ kaT kar bhī
phaḌ.phaḌāte rahe barābar par
paas tīr-o-kamāñ ke hote hue
ḳhauf taarī hai mere lashkar par
jab ghaḌī imtihān kī aa.ī
maiñ ne rakh dī zabāñ aḳhgar par
qaid kamre meñ ho gayā huuñ 'nabīl'
pheñk kar maiñ galī se bāhar par
jab se ummid bandhi patthar par
dhul si jam gai muqaddar par
kis ne chadar dhuen ki tani hai
mere jannat-misal manzar par
mere chaaragaron ne rakkha hai
ek ek raste ko Thokar par
aasman ki talab mein kaT kar bhi
phaDphaDate rahe barabar par
pas tir-o-kaman ke hote hue
KHauf tari hai mere lashkar par
jab ghaDi imtihan ki aai
main ne rakh di zaban aKHgar par
qaid kamre mein ho gaya hun 'nabil'
phenk kar main gali se bahar par
Source:
Leave a comment