Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bal Mukund Besabr

  • Ghazal


bahaar aae anadil ne mil KHarosh kiya


bahār aa.e anādil ne mil ḳharosh kiyā
badan meñ ḳhuuñ ne surāhī meñ mai ne josh kiyā

zahe zahe mere īmān-o-dīñ ki maiñ ne unheñ
fidā-e-farq-e-ḳhum-o-pā-e-mai-farosh kiyā

naqāb muñh se uThā kar ye kis ne dī āvāz
ki daf.atan hama-tan mujh ko chashm-o-gosh kiyā

nikal gayā thā lahū mere tan kā rone meñ
rahā thā jo koī qatra so ġham ne nosh kiyā

kalām kyoñ na ho 'besabr' merā mastāna
ki jaam hai ḳhum-e-hāfiz se maiñ ne nosh kiyā

bahaar aae anadil ne mil KHarosh kiya
badan mein KHun ne surahi mein mai ne josh kiya

zahe zahe mere iman-o-din ki main ne unhen
fida-e-farq-e-KHum-o-pa-e-mai-farosh kiya

naqab munh se uTha kar ye kis ne di aawaz
ki dafatan hama-tan mujh ko chashm-o-gosh kiya

nikal gaya tha lahu mere tan ka rone mein
raha tha jo koi qatra so gham ne nosh kiya

kalam kyon na ho 'besabr' mera mastana
ki jam hai KHum-e-hafiz se main ne nosh kiya


Daryaganj"

Leave a comment

+