Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aal-e-Raza Raza

  • Ghazal


mayus KHud-ba-KHud dil-e-ummid-war hai


māyūs ḳhud-ba-ḳhud dil-e-ummīd-vār hai
is gul meñ bū ḳhizāñ kī hai rañg-e-bahār hai

tai ho chukīñ shikast-e-tamannā kī manzileñ
ab is ke baad girya-e-be-iḳhtiyār hai

us bevafā se kar ke vafā mar-miTā 'razā'
ik qissa-e-tavīl kā ye iḳhtisār hai

mayus KHud-ba-KHud dil-e-ummid-war hai
is gul mein bu KHizan ki hai rang-e-bahaar hai

tai ho chukin shikast-e-tamanna ki manzilen
ab is ke baad girya-e-be-iKHtiyar hai

us bewafa se kar ke wafa mar-miTa 'raza'
ek qissa-e-tawil ka ye iKHtisar hai


Source: Book : Ehsasat-e-Farigh (Pg. 90) Author : Laxmi Narayan Farigh

Leave a comment

+