Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Madhukar Jha Khuddar

  • Ghazal


kabhi hum unki sunte hain kabhi apni sunate hain


kabhī ham un kī sunte haiñ kabhī apnī sunāte haiñ
isī daur-e-mohabbat meñ ye din yuuñ biit jaate haiñ

kahā thā jo kabhī tum ne chalo dekheñ nazāre ham
usī qātil-adā se ab hamīñ ko kyuuñ satāte haiñ

zamāna pūchhegā tumhāre ḳhasta-hāl kā beora
hamārī baat to chhoḌo hameñ yuuñ hī bulāte haiñ

pata pūchhe hamārā jo kaho ab kyā batā.eñ ham
raqīboñ kā pata bhī to nahīñ ab ham batāte haiñ

bhale 'ḳhuddar' kahtā ho ḳhatā-vārī nahīñ kī hai
use bolo faqīroñ meñ use murshid batāte haiñ

kabhi hum un ki sunte hain kabhi apni sunate hain
isi daur-e-mohabbat mein ye din yun bit jate hain

kaha tha jo kabhi tum ne chalo dekhen nazare hum
usi qatil-ada se ab hamin ko kyun satate hain

zamana puchhega tumhaare KHasta-haal ka beora
hamari baat to chhoDo hamein yun hi bulate hain

pata puchhe hamara jo kaho ab kya bataen hum
raqibon ka pata bhi to nahin ab hum batate hain

bhale 'KHuddar' kahta ho KHata-wari nahin ki hai
use bolo faqiron mein use murshid batate hain


Leave a comment

+