Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Azimabadi

  • Ghazal


aish-o-gham zindagi ke phere hain


aish-o-ġham zindagī ke phere haiñ
shab kī āġhosh meñ savere haiñ

mai-kade se vafā kī manzil tak
ham faqīroñ ke here-phere haiñ

mujh ko mat dekh yuuñ hiqārat se
maiñ ne ruḳh zindagī ke phere haiñ

un kī zulfoñ kī narm chhāñv meñ
zindagī ke hasīñ savere haiñ

maiñ huuñ me.amār-e-zindagī ai 'kaif'
donoñ aalam ke husn mere haiñ

aish-o-gham zindagi ke phere hain
shab ki aaghosh mein sawere hain

mai-kade se wafa ki manzil tak
hum faqiron ke here-phere hain

mujh ko mat dekh yun hiqarat se
main ne ruKH zindagi ke phere hain

un ki zulfon ki narm chhanw mein
zindagi ke hasin sawere hain

main hun meamar-e-zindagi ai 'kaif'
donon aalam ke husn mere hain


Leave a comment

+