Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ummeed Fazli

  • Ghazal


hum hain bas itne hi sahil-ashna


ham haiñ bas itne hī sāhil-āshnā
ḳhāk-e-manzil jitnī manzil-āshnā

tujh se chhuTte hī ye aalam hai ki ab
dil kī dhaḌkan bhī nahīñ dil-āshnā

sham.a be-parvāna jalva be-nagar
kyā hue āḳhir vo mahfil-āshnā

aah ye tūfāñ-ba-kaf abr-o-havā
aah vo yārān-e-sāhil-āshnā

vaqt vo sahrā ki jis kī gard meñ
gum hue jaate haiñ manzil-āshnā

is kī qurbat par na itrāo 'amīr'
mauj kab hotī hai sāhil-āshnā

hum hain bas itne hi sahil-ashna
KHak-e-manzil jitni manzil-ashna

tujh se chhuTte hi ye aalam hai ki ab
dil ki dhaDkan bhi nahin dil-ashna

shama be-parwana jalwa be-nagar
kya hue aaKHir wo mahfil-ashna

aah ye tufan-ba-kaf abr-o-hawa
aah wo yaran-e-sahil-ashna

waqt wo sahra ki jis ki gard mein
gum hue jate hain manzil-ashna

is ki qurbat par na itrao 'amir'
mauj kab hoti hai sahil-ashna


Leave a comment

+