Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yagana Changezi

  • Ghazal


zamana KHuda ko KHuda jaanta hai


zamāna ḳhudā ko ḳhudā jāntā hai
yahī jāntā hai to kyā jāntā hai

isī meñ dil apnā bhalā jāntā hai
ki ik nāḳhudā ko ḳhudā jāntā hai

vo kyuuñ sar khapā.e tirī justujū meñ
jo anjām-e-fikr-e-rasā jāntā hai

ḳhudā aise bande se kyuuñ phir na jaa.e
jo baiThā duā māñgnā jāntā hai

zahe sahv-e-kātib ki saarā zamāna
mujhī ko sarāpā ḳhatā jāntā hai

anokhā gunahgār ye saada insāñ
navishte ko apnā kiyā jāntā hai

'yagānā' tū hī jaane apnī haqīqat
tujhe kaun tere sivā jāntā hai

zamana KHuda ko KHuda jaanta hai
yahi jaanta hai to kya jaanta hai

isi mein dil apna bhala jaanta hai
ki ek naKHuda ko KHuda jaanta hai

wo kyun sar khapae teri justuju mein
jo anjam-e-fikr-e-rasa jaanta hai

KHuda aise bande se kyun phir na jae
jo baiTha dua mangna jaanta hai

zahe sahw-e-katib ki sara zamana
mujhi ko sarapa KHata jaanta hai

anokha gunahgar ye sada insan
nawishte ko apna kiya jaanta hai

'yagana' tu hi jaane apni haqiqat
tujhe kaun tere siwa jaanta hai


Source: Book : Waraq-e-saadah (Gazals) (Pg. 40) Author : Hamdam Kashmiri Publication : Hamdam Kashmiri, Khan Mahel, Shrinagar (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+