in talḳh āñ.suoñ ko na yuuñ muñh banā ke pī
ye mai hai ḳhud-kashīd ise muskurā ke pī
utreñge kis ke halq se ye dil-ḳharāsh ghūñT
kis ko payām duuñ ki mire saath aa ke pī
mashrūb-e-jam hī talḳhi-e-ġham kā ilaaj hai
shīrīnī-e-kalām zarā sī milā ke pī
vaa.iz kī ab na maan agar jaan hai aziiz
is daur meñ ye chiiz ba-taur ik davā ke pī
bhar le piyāla ḳhum-kada-e-zīst se 'hafīz'
ḳhūn-e-jigar hai sāmne chal kar ḳhudā ke pī
in talKH aansuon ko na yun munh bana ke pi
ye mai hai KHud-kashid ise muskura ke pi
utrenge kis ke halq se ye dil-KHarash ghunT
kis ko payam dun ki mere sath aa ke pi
mashrub-e-jam hi talKHi-e-gham ka ilaj hai
shirini-e-kalam zara si mila ke pi
waiz ki ab na man agar jaan hai aziz
is daur mein ye chiz ba-taur ek dawa ke pi
bhar le piyala KHum-kada-e-zist se 'hafiz'
KHun-e-jigar hai samne chal kar KHuda ke pi
Leave a comment