Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naheed Virk

  • Ghazal


ye jo subh ke bich diwar-e-shab si uThi lagti hai


ye jo sub.h ke biich dīvār-e-shab sī uThī lagtī hai
hai aks-e-tahayyur kī ye dāstāñ aur sunī lagtī hai

jo maiñ ḳhvāhishoñ meñ ghirī chup bharī sā.ateñ taktī huuñ
mujhe un ke andar talak tirī ḳhvāhish gaḌī lagtī hai

tirā vird kartī huī āsmāñ se utartī huī
koī nuur jaisī duā chār-sū gūñjtī lagtī hai

mire aa.ine meñ jo tasvīr terī ubhar aa.ī hai
ye jhuTlāne se fā.eda? mujh ko ye raushnī lagtī hai

faqat mere chehre pe hī rañg khil ke nahīñ utre haiñ
shafaq shaam kī merī ā.ankhoñ se bhī jhāñktī lagtī hai

ye jo subh ke bich diwar-e-shab si uThi lagti hai
hai aks-e-tahayyur ki ye dastan aur suni lagti hai

jo main KHwahishon mein ghiri chup bhari saaten takti hun
mujhe un ke andar talak teri KHwahish gaDi lagti hai

tera wird karti hui aasman se utarti hui
koi nur jaisi dua chaar-su gunjti lagti hai

mere aaine mein jo taswir teri ubhar aai hai
ye jhuTlane se faeda? mujh ko ye raushni lagti hai

faqat mere chehre pe hi rang khil ke nahin utre hain
shafaq sham ki meri aaankhon se bhi jhankti lagti hai


Leave a comment

+