Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Danish

  • Ghazal


aankh mein aansu hain ehsas-e-masarrat dil mein hai


aañkh meñ aañsū haiñ ehsās-e-masarrat dil meñ hai
ek firdaus-e-nazāra aap kī mahfil meñ hai

har jafā terī munāsib har sitam terā durust
ab vahī merī tamannā hai jo tere dil meñ hai

jab ba-juz mahbūb ho jaatī hai ojhal kā.enāt
ik maqām aisā bhī jazb-e-shauq kī manzil meñ hai

fasl-e-gul meñ be-tahāshā hañsne vaalo hoshiyār
iztirāb-e-dil kā pahlū bhī sukūn-e-dil meñ hai

jis ko duurī se huzūrī meñ sivā ho iztirāb
vo pareshān-e-mohabbat kis qadar mushkil meñ hai

dahr ke hañgāma-e-shaiḳh-o-barahman se buland
aur bhī hañgāma ik girdāb-e-nūh-e-dil meñ hai

ab koī shāyān-e-jalva hai na shāyān-e-kalām
tū usī manzil meñ behtar hai ki jis manzil meñ hai

nā-sazā hai is ke jalvoñ kī nazākat ke liye
vo ġham-e-hāsil jo tere ishq ke hāsil meñ hai

maiñ to ḳhud uThne ko huuñ badlo na andāz-e-nazar
tum jo kahte hichkichāte ho vo mere dil meñ hai

apne markaz se sitāroñ par jo kartā huuñ nazar
jis ko jis manzil meñ chhoḌā thā usī manzil meñ hai

mom kar detī hai jo faulād-o-āhan kā jigar
vo bhī ik jhankār āvāz-e-shikast-e-dil meñ hai

kaun hai 'ehsān' merī zindagī kā rāzdār
kyā kahūñ kis tarah marne kī tamannā dil meñ hai

aankh mein aansu hain ehsas-e-masarrat dil mein hai
ek firdaus-e-nazara aap ki mahfil mein hai

har jafa teri munasib har sitam tera durust
ab wahi meri tamanna hai jo tere dil mein hai

jab ba-juz mahbub ho jati hai ojhal kaenat
ek maqam aisa bhi jazb-e-shauq ki manzil mein hai

fasl-e-gul mein be-tahasha hansne walo hoshiyar
iztirab-e-dil ka pahlu bhi sukun-e-dil mein hai

jis ko duri se huzuri mein siwa ho iztirab
wo pareshan-e-mohabbat kis qadar mushkil mein hai

dahr ke hangama-e-shaiKH-o-barahman se buland
aur bhi hangama ek girdab-e-nuh-e-dil mein hai

ab koi shayan-e-jalwa hai na shayan-e-kalam
tu usi manzil mein behtar hai ki jis manzil mein hai

na-saza hai is ke jalwon ki nazakat ke liye
wo gham-e-hasil jo tere ishq ke hasil mein hai

main to KHud uThne ko hun badlo na andaz-e-nazar
tum jo kahte hichkichate ho wo mere dil mein hai

apne markaz se sitaron par jo karta hun nazar
jis ko jis manzil mein chhoDa tha usi manzil mein hai

mom kar deti hai jo faulad-o-ahan ka jigar
wo bhi ek jhankar aawaz-e-shikast-e-dil mein hai

kaun hai 'ehsan' meri zindagi ka raazdar
kya kahun kis tarah marne ki tamanna dil mein hai


Leave a comment

+