Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafiz Ludhiyanvi

  • Ghazal


wo qarya-e-mahtab rahe subh-o-masa yaad


vo qarya-e-mahtāb rahe sub.h-o-masā yaad
kuchh bhī na rahe shahr-e-tamannā ke sivā yaad

anvār kī bārish thī sar-e-manzil-e-taiba
har manzil-e-ḳhush dekh ke aatā thā ḳhudā yaad

ab tak haiñ nigāhoñ meñ dar-o-bām haram ke
ab tak hai mujhe vādī-e-rahmat kī fazā yaad

hai sīrat-e-at.har mirā sarmāya-e-hastī
mahbūb-e-do-ālam kī hai ek ek adā yaad

Duube na kabhī mere muqaddar kā sitārā
ik baar jo kar leñ mujhe mahbūb-e-ḳhudā yaad

qurbān huī jaatī thiiñ rahmat kī ghaTā.eñ
in kāñpte hoñToñ kā hai andāz-e-duā yaad

har ek ke dāman meñ murādoñ ke guhar the
'hāfiz' mujhe darbār kī hai shān-e-saḳhā yaad

wo qarya-e-mahtab rahe subh-o-masa yaad
kuchh bhi na rahe shahr-e-tamanna ke siwa yaad

anwar ki barish thi sar-e-manzil-e-taiba
har manzil-e-KHush dekh ke aata tha KHuda yaad

ab tak hain nigahon mein dar-o-baam haram ke
ab tak hai mujhe wadi-e-rahmat ki faza yaad

hai sirat-e-athar mera sarmaya-e-hasti
mahbub-e-do-alam ki hai ek ek ada yaad

Dube na kabhi mere muqaddar ka sitara
ek bar jo kar len mujhe mahbub-e-KHuda yaad

qurban hui jati thin rahmat ki ghaTaen
in kanpte honTon ka hai andaz-e-dua yaad

har ek ke daman mein muradon ke guhar the
'hafiz' mujhe darbar ki hai shan-e-saKHa yaad


Leave a comment

+