Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dilshad Naseem

  • Ghazal


aap jab bhi kabhi muskurane lage


aap jab bhī kabhī muskurāne lage
dard jitne the mere suhāne lage

raat puurī khaḌī hai abhī sahn meñ
taare mujh ko abhī se jagāne lage

ḳhvāb jalte hue rakh diye raah par
be-sahārā the vo sab Thikāne lage

is qadar jaan ko ho rahā thā malāl
aap rūThe nahīñ ham manāne lage

ab ke shāyad vo aa.egā is shahr meñ
baam par ham diye to jalāne lage

bah gayā aañkh se merā kājal to phir
ranj-o-ġham dil ke sab hī chhupāne lage

is qadar mehrbāñ vo kahāñ mujh pe the
jis qadar vo mujhe ab jatāne lage

aap jab bhi kabhi muskurane lage
dard jitne the mere suhane lage

raat puri khaDi hai abhi sahn mein
tare mujh ko abhi se jagane lage

KHwab jalte hue rakh diye rah par
be-sahaara the wo sab Thikane lage

is qadar jaan ko ho raha tha malal
aap ruThe nahin hum manane lage

ab ke shayad wo aaega is shahr mein
baam par hum diye to jalane lage

bah gaya aankh se mera kajal to phir
ranj-o-gham dil ke sab hi chhupane lage

is qadar mehrban wo kahan mujh pe the
jis qadar wo mujhe ab jatane lage


Leave a comment

+