Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


be-talluq zindagi bhi zindagi hoti hai kya


be-ta.alluq zindagī bhī zindagī hotī hai kyā
sāz-e-dil ḳhāmosh ho to naġhmagī hotī hai kyā

yak-ba-yak tārīk dil meñ kyoñ ujālā ho gayā
yād-e-yār-e-mehrbāñ se raushnī hotī hai kyā

dekh kar tujh ko karegā koī kyoñ sair-e-chaman
gul ke chehre par bhī aisī tāzgī hotī hai kyā

jis ne tere husn kī lau dekh lī samjhā hai vo
kyoñ chamakte haiñ sitāre chāñdnī hotī hai kyā

mast āñkhoñ kī qasam kyoñ rah gayā hāthoñ meñ jaam
mai-kade meñ bin-piye bhī mai-kashī hotī hai kyā

vasl ho yā hijr ho yā intizār-e-yār ho
dard-e-dil meñ hasratoñ meñ kuchh kamī hotī hai kyā

sādgī meñ dilbarī hai dilbarī meñ sādgī
koī kyā samjhe ki un kī sādgī hotī hai kyā

yaad terī aa.ī hai pardes meñ kitnī 'habīb'
dūrī-e-manzil meñ koī dilkashī hotī hai kyā

be-talluq zindagi bhi zindagi hoti hai kya
saz-e-dil KHamosh ho to naghmagi hoti hai kya

yak-ba-yak tarik dil mein kyon ujala ho gaya
yaad-e-yar-e-mehrban se raushni hoti hai kya

dekh kar tujh ko karega koi kyon sair-e-chaman
gul ke chehre par bhi aisi tazgi hoti hai kya

jis ne tere husn ki lau dekh li samjha hai wo
kyon chamakte hain sitare chandni hoti hai kya

mast aankhon ki qasam kyon rah gaya hathon mein jam
mai-kade mein bin-piye bhi mai-kashi hoti hai kya

wasl ho ya hijr ho ya intizar-e-yar ho
dard-e-dil mein hasraton mein kuchh kami hoti hai kya

sadgi mein dilbari hai dilbari mein sadgi
koi kya samjhe ki un ki sadgi hoti hai kya

yaad teri aai hai pardes mein kitni 'habib'
duri-e-manzil mein koi dilkashi hoti hai kya


Leave a comment

+