Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Divya Jain

  • Ghazal


phir zaban pe wahi bhula sa fasana aaya


phir zabāñ pe vahī bhūlā sā fasāna aayā
yaad vo be-ḳhudī kā phir se zamāna aayā

lete añgḌā.ī haiñ ġham zaḳhm lage haiñ risne
yaad jab bhūlā huā dost purānā aayā

vo Thahartā hai kahāñ laakh bulā.e koī
lauT ke vaqt ko to thā nahīñ aanā aayā

zulf ziddī jo jabīñ ko mirī chhūkar guzrī
abr ko yaad koī va.ada nibhānā aayā

tītarī sañg ye dil aaj jo āvāra hai
lauT ke vaqt vo bachpan kā suhānā aayā

charchā mahfil meñ jo phir aaj merī thī niklī
har galī-kūche se phir merā dīvāna aayā

kar liyā va.ada lo phir us ne jo milne kā phir
dekhnā kal nayā kyā yaad bahāna aayā

phir zaban pe wahi bhula sa fasana aaya
yaad wo be-KHudi ka phir se zamana aaya

lete angDai hain gham zaKHm lage hain risne
yaad jab bhula hua dost purana aaya

wo Thaharta hai kahan lakh bulae koi
lauT ke waqt ko to tha nahin aana aaya

zulf ziddi jo jabin ko meri chhukar guzri
abr ko yaad koi wada nibhana aaya

titari sang ye dil aaj jo aawara hai
lauT ke waqt wo bachpan ka suhana aaya

charcha mahfil mein jo phir aaj meri thi nikli
har gali-kuche se phir mera diwana aaya

kar liya wada lo phir us ne jo milne ka phir
dekhna kal naya kya yaad bahana aaya


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 593) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+