Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Basir Sultan Kazmi

  • Ghazal


dil mein har-chand aarzu thi bahut


dil meñ har-chand aarzū thī bahut
kaam thoḌā thā guftugū thī bahut

sañg-e-manzil ye chheḌtā hai mujhe
aa tujhe merī justujū thī bahut

ai havas! dekh daaġh daaġh jigar
tū bhī mushtāq-e-rañg-o-bū thī bahut

kaun hai jis se maiñ nahīñ uljhā
go mirī tab.a sulh-jū thī bahut

baḌh ga.ī tujh se mil ke tanhā.ī
ruuh jūyā-e-ham-subū thī bahut

ik tirī hī nigāh meñ na jache
shahar meñ varna aabrū thī bahut

dil mein har-chand aarzu thi bahut
kaam thoDa tha guftugu thi bahut

sang-e-manzil ye chheDta hai mujhe
aa tujhe meri justuju thi bahut

ai hawas! dekh dagh dagh jigar
tu bhi mushtaq-e-rang-o-bu thi bahut

kaun hai jis se main nahin uljha
go meri taba sulh-ju thi bahut

baDh gai tujh se mil ke tanhai
ruh juya-e-ham-subu thi bahut

ek teri hi nigah mein na jache
shahar mein warna aabru thi bahut


Leave a comment

+