Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fareed Javed

  • Ghazal


saz de ke taron ko chheD to diya tumne


saaz de ke tāroñ ko chheḌ to diyā tum ne
sāz-e-dil ke tāroñ kī baat bhī sunī hotī

ham jo sho.ala-e-jāñ kī lau na tez kar dete
aaj ġham kī rāhoñ meñ kitnī tīrgī hotī

un se chheḌ dete ham rañg-o-nūr kī bāteñ
dāstān-e-shauq apnī ḳhud hī chhiḌ ga.ī hotī

shikva-e-karam kyuuñ hai vo agar karam karte
aur bhī mohabbat kī pyaas baḌh ga.ī hotī

ahl-e-dil vahāñ se bhī naġhma-zan guzar aa.e
lai jahāñ mohabbat kī TuuT hī ga.ī hotī

saz de ke taron ko chheD to diya tum ne
saz-e-dil ke taron ki baat bhi suni hoti

hum jo shoala-e-jaan ki lau na tez kar dete
aaj gham ki rahon mein kitni tirgi hoti

un se chheD dete hum rang-o-nur ki baaten
dastan-e-shauq apni KHud hi chhiD gai hoti

shikwa-e-karam kyun hai wo agar karam karte
aur bhi mohabbat ki pyas baDh gai hoti

ahl-e-dil wahan se bhi naghma-zan guzar aae
lai jahan mohabbat ki TuT hi gai hoti

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Fareed Javed

Leave a comment

+