masāfat kī garāñ har ek saa.at TuuT jaatī hai
tirī chashm-e-ināyat se aziyyat TuuT jaatī hai
tirī yādoñ kī sūrat se nikaltī hai ajab sūrat
ujāle yuuñ baraste haiñ ki zulmat TuuT jaatī hai
sadā-e-haq-shanāsī gasht kartī rahtī hai lekin
zamāna ye samajhtā hai sadāqat TuuT jaatī hai
barā-e-jazba-sāzī kuchh dikhāvā ho magar yaaro
riyā-kārī baratne se ibādat TuuT jaatī hai
ġhazal meñ jiddat-o-nudrat zarūrī hai bahut 'amjad'
magar fannī buḳhālat se salāsat TuuT jaatī hai
masafat ki garan har ek saat TuT jati hai
teri chashm-e-inayat se aziyyat TuT jati hai
teri yaadon ki surat se nikalti hai ajab surat
ujale yun baraste hain ki zulmat TuT jati hai
sada-e-haq-shanasi gasht karti rahti hai lekin
zamana ye samajhta hai sadaqat TuT jati hai
bara-e-jazba-sazi kuchh dikhawa ho magar yaro
riya-kari baratne se ibaadat TuT jati hai
ghazal mein jiddat-o-nudrat zaruri hai bahut 'amjad'
magar fanni buKHalat se salasat TuT jati hai
Leave a comment