Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Zaidi

  • Ghazal


baja tha zoam agar apne baal-o-par ka tha


bajā thā zo.am agar apne bāl-o-par kā thā
ki shauq bhī to use chāñd ke safar kā thā

kahāñ se TuuT paḌī beach meñ fasīl-e-jahāñ
mo.āmla to faqat mere bām-o-dar kā thā

maiñ lauT aayā dabe paañv ghar ke āñgan se
makān ġhair kā darvāza apne ghar kā thā

ḳhud apne saa.e ko ghere meñ le ke baiTh gayā
ki ehtimām mire āḳhirī safar kā thā

chhupā.e baiThe the kuchh māh-o-sāl ham bhī vahīñ
jahāñ pe tazkira pyaar bhar kā thā

ham apne jazba-o-ehsās le ke pahuñche the
tamām khel vahāñ haath ke hunar kā thā

vo ab bhī halqa-e-dām nazar meñ phailā hai
jo sabz saaya tire pyaar ke shajar kā thā

mile jo us kī sahelī se ham to raaz khulā
ḳhatoñ meñ zikr kisī aur hī 'zafar' kā thā

baja tha zoam agar apne baal-o-par ka tha
ki shauq bhi to use chand ke safar ka tha

kahan se TuT paDi beach mein fasil-e-jahan
moamla to faqat mere baam-o-dar ka tha

main lauT aaya dabe panw ghar ke aangan se
makan ghair ka darwaza apne ghar ka tha

KHud apne sae ko ghere mein le ke baiTh gaya
ki ehtimam mere aaKHiri safar ka tha

chhupae baiThe the kuchh mah-o-sal hum bhi wahin
jahan pe tazkira pyar bhar ka tha

hum apne jazba-o-ehsas le ke pahunche the
tamam khel wahan hath ke hunar ka tha

wo ab bhi halqa-e-dam nazar mein phaila hai
jo sabz saya tere pyar ke shajar ka tha

mile jo us ki saheli se hum to raaz khula
KHaton mein zikr kisi aur hi 'zafar' ka tha


Leave a comment

+