Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

  • Ghazal


jo honi thi wo ham-nashin ho chuki


jo honī thī vo ham-nashīñ ho chukī
mire mudda.ā par nahīñ ho chukī

burā ho mirī nā-tavānī tirā
nigāh-e-dam-e-vāpsīñ ho chukī

umīd-e-karam kuchh na saaqī se rakh
ki ab vo mai-e-sātgīñ ho chukī

sunā.ūñ agar tā-qayāmat to kyā
kahānī mirī dil-nashīñ ho chukī

karūñ kis tarah ab maiñ arz-e-niyāz
ki baaqī hai dar aur jabīñ ho chukī

tarāvish kahāñ zaḳhm-e-dil meñ vo ab
kahīñ kuchh rahī hai kahīñ ho chukī

bas ab haath se rakh do 'shaidā' qalam
tumhārī ġhazal kī zamīñ ho chukī

jo honi thi wo ham-nashin ho chuki
mere muddaa par nahin ho chuki

bura ho meri na-tawani tera
nigah-e-dam-e-wapsin ho chuki

umid-e-karam kuchh na saqi se rakh
ki ab wo mai-e-satgin ho chuki

sunaun agar ta-qayamat to kya
kahani meri dil-nashin ho chuki

karun kis tarah ab main arz-e-niyaz
ki baqi hai dar aur jabin ho chuki

tarawish kahan zaKHm-e-dil mein wo ab
kahin kuchh rahi hai kahin ho chuki

bas ab hath se rakh do 'shaida' qalam
tumhaari ghazal ki zamin ho chuki


Leave a comment

+