Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faheem Gorakhpuri

  • Ghazal


ashk aankhon mein jigar mein dard sozish dil mein hai


ashk āñkhoñ meñ jigar meñ dard sozish dil meñ hai
ik mohabbat kī badaulat ghar kā ghar mushkil meñ hai

jab na ye duniyā thī qaa.em tū hamāre dil meñ thā
jab se ye duniyā hai qaa.em tū hamāre dil meñ hai

iztirāb-e-teġh-e-maqtal meñ koī dekhe zarā
saaf hotā hai gumāñ bijlī kaf-e-qātil meñ hai

aaj un ke jaur ke shikve haiñ kyā kyā hashr meñ
aaj kaisī un kī rusvā.ī bharī mahfil meñ hai

naza.a meñ ai nā-murādī us kī tū rahnā gavāh
jo mire dil kī tamannā thī vo mere dil meñ hai

qatl ho kar bhī rahā qātil se qaa.em vāsta
ruuh merī ban ke jauhar ḳhanjar-e-qātil meñ hai

hoshiyār ai rahrav-e-rāh-e-mohabbat hoshiyār
har qadam par jaan kā khaTkā tirī manzil meñ hai

ai ḳhayāl-e-tark-e-ulfat qahr hai miT jā.egī
ye jo ik duniyā-e-ġham ābād mere dil meñ hai

naqs se ḳhālī nahīñ hote hasīñ bhī ai 'fahīm'
dekh tū sū-e-falak dhabba mah-e-kāmil meñ hai

ashk aankhon mein jigar mein dard sozish dil mein hai
ek mohabbat ki badaulat ghar ka ghar mushkil mein hai

jab na ye duniya thi qaem tu hamare dil mein tha
jab se ye duniya hai qaem tu hamare dil mein hai

iztirab-e-tegh-e-maqtal mein koi dekhe zara
saf hota hai guman bijli kaf-e-qatil mein hai

aaj un ke jaur ke shikwe hain kya kya hashr mein
aaj kaisi un ki ruswai bhari mahfil mein hai

naza mein ai na-muradi us ki tu rahna gawah
jo mere dil ki tamanna thi wo mere dil mein hai

qatl ho kar bhi raha qatil se qaem wasta
ruh meri ban ke jauhar KHanjar-e-qatil mein hai

hoshiyar ai rahraw-e-rah-e-mohabbat hoshiyar
har qadam par jaan ka khaTka teri manzil mein hai

ai KHayal-e-tark-e-ulfat qahr hai miT jaegi
ye jo ek duniya-e-gham aabaad mere dil mein hai

naqs se KHali nahin hote hasin bhi ai 'fahim'
dekh tu su-e-falak dhabba mah-e-kaamil mein hai


Leave a comment

+