Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahir Faraz

  • Ghazal


mere labon pe usi aadmi ki pyas na ho


mire laboñ pe usī aadmī kī pyaas na ho
jo chāhtā hai mire sāmne gilās na ho

ye tishnagī to milī hai hameñ virāsat meñ
hamāre vāste dariyā koī udaas na ho

tamām din ke dukhoñ kā hisāb karnā hai
maiñ chāhtā huuñ koī mere ās-pās na ho

mujhe bhī dukh hai ḳhatā ho gayā nishāna tirā
kamān khīñch maiñ hāzir huuñ tū udaas na ho

ġhazal hī rah ga.ī tāhir-'farāz' apne liye
jahāñ meñ koī aisā bhī be-asās na ho

mere labon pe usi aadmi ki pyas na ho
jo chahta hai mere samne gilas na ho

ye tishnagi to mili hai hamein wirasat mein
hamare waste dariya koi udas na ho

tamam din ke dukhon ka hisab karna hai
main chahta hun koi mere aas-pas na ho

mujhe bhi dukh hai KHata ho gaya nishana tera
kaman khinch main hazir hun tu udas na ho

ghazal hi rah gai tahir-'faraaz' apne liye
jahan mein koi aisa bhi be-asas na ho


Leave a comment

+