Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farah Khan

  • Ghazal


suraj tanab-e-sham ko thame khaDa rahe


sūraj tanāb-e-shām ko thāme khaḌā rahe
us ke palaT ke aane kā imkān sā rahe

shab bhar dar-e-gumāñ rahe dastak kā muntazir
galiyoñ meñ ik fareb ko āvāz-e-pā rahe

azbar raheñ kisī tarah pichhlī rifāqateñ
sūkhe hue shajar pe bhī ik ghoñsla rahe

maiñ misl-e-bū-e-gul huuñ havāoñ ke saath saath
mahsūs kar sake vo mujhe DhūñDhtā rahe

jaate hue vo naam mire dil pe likh gayā
chhoḌe hue makāñ pe makīñ kā patā rahe

aise guzar rahī hai havādis ke darmiyāñ
kashtī safar pasand ho paanī rukā rahe

bujhte hue charāġh kī lau par hai inhisār
ho ashk bhī na aañkh meñ baaqī to kyā rahe

yuuñ bhī na hoñ 'farah' mire masdūd rāste
us se kabhī kabhī to kahīñ sāmnā rahe

suraj tanab-e-sham ko thame khaDa rahe
us ke palaT ke aane ka imkan sa rahe

shab bhar dar-e-guman rahe dastak ka muntazir
galiyon mein ek fareb ko aawaz-e-pa rahe

azbar rahen kisi tarah pichhli rifaqaten
sukhe hue shajar pe bhi ek ghonsla rahe

main misl-e-bu-e-gul hun hawaon ke sath sath
mahsus kar sake wo mujhe DhunDhta rahe

jate hue wo nam mere dil pe likh gaya
chhoDe hue makan pe makin ka pata rahe

aise guzar rahi hai hawadis ke darmiyan
kashti safar pasand ho pani ruka rahe

bujhte hue charagh ki lau par hai inhisar
ho ashk bhi na aankh mein baqi to kya rahe

yun bhi na hon 'farah' mere masdud raste
us se kabhi kabhi to kahin samna rahe


Leave a comment

+