mashīneñ kaam apnā kar rahī haiñ
hameñ bhī apne jaisā kar rahī haiñ
hazāroñ miil se aatī havā.eñ
yahāñ kohrām barpā kar rahī haiñ
na.ī baisākhiyāñ aks o sadā kī
hamāre qad ko ūñchā kar rahī haiñ
sabhī ko uuñgh sī aane lagī hai
fazā.eñ jādū-Tonā kar rahī haiñ
hamārā dil to hañgāmoñ bharā thā
yahāñ tanhā.iyāñ kyā kar rahī haiñ
ye zālim hañsne vaalī hastiyāñ haiñ
faqat rūmāl giilā kar rahī haiñ
mashinen kaam apna kar rahi hain
hamein bhi apne jaisa kar rahi hain
hazaron mil se aati hawaen
yahan kohram barpa kar rahi hain
nai baisakhiyan aks o sada ki
hamare qad ko uncha kar rahi hain
sabhi ko ungh si aane lagi hai
fazaen jadu-Tona kar rahi hain
hamara dil to hangamon bhara tha
yahan tanhaiyan kya kar rahi hain
ye zalim hansne wali hastiyan hain
faqat rumal gila kar rahi hain
Leave a comment