Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aabid Adeeb

  • Ghazal


main apne jism mein kuchh is tarah se bikhra hun


maiñ apne jism meñ kuchh is tarah se bikhrā huuñ
ki ye bhī kah nahīñ saktā maiñ kaun huuñ kyā huuñ

unheñ ḳhushī hai isī baat se ki zinda huuñ
maiñ un kī daa.eñ hathelī kī ek rekhā huuñ

maiñ pī gayā huuñ ka.ī āñso.oñ ke sail-e-ravāñ
maiñ apne dil ko samundar banā.e baiThā huuñ

vo mere dost jo ek ek karke duur hue
maiñ un ko aaj bhī apne qarīb paatā huuñ

muhīt karne kī koshish fuzūl hai mujh ko
nadī kā chhor nahīñ huuñ maiñ bahtā dariyā huuñ

mujhī pe pheñke hai patthar jo koī aatā hai
ki jaise maiñ tirī khiḌkī kā koī shīsha huuñ

main apne jism mein kuchh is tarah se bikhra hun
ki ye bhi kah nahin sakta main kaun hun kya hun

unhen KHushi hai isi baat se ki zinda hun
main un ki daen hatheli ki ek rekha hun

main pi gaya hun kai aansoon ke sail-e-rawan
main apne dil ko samundar banae baiTha hun

wo mere dost jo ek ek karke dur hue
main un ko aaj bhi apne qarib pata hun

muhit karne ki koshish fuzul hai mujh ko
nadi ka chhor nahin hun main bahta dariya hun

mujhi pe phenke hai patthar jo koi aata hai
ki jaise main teri khiDki ka koi shisha hun


Leave a comment

+