Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faqeeh Haidar

  • Ghazal


hijr main jo li gai taswir hai


hijr maiñ jo lī ga.ī tasvīr hai
ye hamārī āḳhirī tasvīr hai

maut bhartī jā rahī hai apne rañg
zindagī miTtī huī tasvīr hai

tum jise kahte ho jismoñ kī qatār
asl meñ dīvār kī tasvīr hai

yaar logoñ se gale milnā bhī kyā
koī patthar hai koī tasvīr hai

miT ga.ī tasvīr pahle ishq kī
sāmne ab dūsrī tasvīr hai

jitnī tasvīreñ haiñ mere sāmne
sab se achchhī aap kī tasvīr hai

kuchh nahīñ badlā tumhāre ba.ad bhī
zindagī tasvīr thī tasvīr hai

ruuh ne rakkhā huā hai sab bharam
varna har ik aadmī tasvīr hai

Dhal ga.ī hai pyaas merī naqsh meñ
ye jo paanī par banī tasvīr hai

haath meñ TukḌe ḳhatoñ ke haiñ faqīh
aañkh meñ jaltī huī tasvīr hai

hijr main jo li gai taswir hai
ye hamari aaKHiri taswir hai

maut bharti ja rahi hai apne rang
zindagi miTti hui taswir hai

tum jise kahte ho jismon ki qatar
asl mein diwar ki taswir hai

yar logon se gale milna bhi kya
koi patthar hai koi taswir hai

miT gai taswir pahle ishq ki
samne ab dusri taswir hai

jitni taswiren hain mere samne
sab se achchhi aap ki taswir hai

kuchh nahin badla tumhaare baad bhi
zindagi taswir thi taswir hai

ruh ne rakkha hua hai sab bharam
warna har ek aadmi taswir hai

Dhal gai hai pyas meri naqsh mein
ye jo pani par bani taswir hai

hath mein TukDe KHaton ke hain faqih
aankh mein jalti hui taswir hai


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+