rasm hai ye duniyā kī khel hai ye qismat kā
chāhte jise ham haiñ vo nahīñ hai chāhat kā
jis ne hijr kaaTā hai bas vo jaan saktā hai
zaḳhm sil nahīñ saktā dard hai vo shiddat kā
aañkh mar to jaatī hai jiine kī tamannā meñ
aur vo nahīñ martā jo hai ḳhvāb hasrat kā
jo likhā lakīroñ meñ us ko puurā honā hai
vaqt Tal nahīñ saktā har ghaḌī musībat kā
sirf qasmeñ va.ade haiñ aur vaqt paḌne par
saath bhī nahīñ detā ab koī mohabbat kā
rasm hai ye duniya ki khel hai ye qismat ka
chahte jise hum hain wo nahin hai chahat ka
jis ne hijr kaTa hai bas wo jaan sakta hai
zaKHm sil nahin sakta dard hai wo shiddat ka
aankh mar to jati hai jine ki tamanna mein
aur wo nahin marta jo hai KHwab hasrat ka
jo likha lakiron mein us ko pura hona hai
waqt Tal nahin sakta har ghaDi musibat ka
sirf qasmen wade hain aur waqt paDne par
sath bhi nahin deta ab koi mohabbat ka
Leave a comment