Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Bhopali

  • Ghazal


salam us par agar aisa koi fankar ho jae


salām us par agar aisā koī fankār ho jaa.e
siyāhī ḳhuun ban jaa.e qalam talvār ho jaa.e

zamāne se kaho kuchh sā.iqa-raftār ho jaa.e
hamāre saath chalne ke liye tayyār ho jaa.e

zamāne ko tamannā hai tirā dīdār karne kī
mujhe ye fikr hai mujh ko mirā dīdār ho jaa.e

vo zulfeñ saañp haiñ be-shak agar zanjīr ban jaa.eñ
mohabbat zahr hai be-shak agar āzār ho jaa.e

mohabbat se tumheñ sarkār kahte haiñ vagarna ham
nigāheñ Daal deñ jis par vahī sarkār ho jaa.e

salam us par agar aisa koi fankar ho jae
siyahi KHun ban jae qalam talwar ho jae

zamane se kaho kuchh saiqa-raftar ho jae
hamare sath chalne ke liye tayyar ho jae

zamane ko tamanna hai tera didar karne ki
mujhe ye fikr hai mujh ko mera didar ho jae

wo zulfen sanp hain be-shak agar zanjir ban jaen
mohabbat zahr hai be-shak agar aazar ho jae

mohabbat se tumhein sarkar kahte hain wagarna hum
nigahen Dal den jis par wahi sarkar ho jae

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 salam us par agar aisa koi fankar ho jae Nomaan Shauque

Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+