Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ilyas Ishqi

  • Ghazal


waqt waqt ki baat hai ya dastur hai duniya ka sain


vaqt vaqt kī baat hai yā dastūr hai duniyā kā sā.īñ
din Dhalte hī baḌh jaatā hai qad se ḳhud saayā sā.īñ

DhūñDne vaale pā letī haiñ ant samundar kā sā.īñ
thaah milī nahīñ jis kī kisī ko dil hai vo dariyā sā.īñ

manzil-e-ishq meñ aise aise hosh-rubā kuchh moḌ mile
raah dikhāne vaale ghar kā bhuul ga.e rastā sā.īñ

ishq ke tūfānī dariyā meñ jo Duubā vo paar gayā
kachche ghaḌe ne beach bhañvar meñ kis kā saath diyā sā.īñ

ye daatā kī den hai bādal ghir ke samundar par barsā
aur kināre pyāsā koī qatre ko tarsā sā.īñ

jo tūfān aayā thā us ke ab koī āsār nahīñ
qulzum-e-dard meñ dil kā safīna kab kā Duub gayā sā.īñ

kaan meñ mere chupke chupke kaun ye kahtā hai 'ishqī'
har din duniyā vahī purānī har shab ḳhvāb nayā sā.īñ

waqt waqt ki baat hai ya dastur hai duniya ka sain
din Dhalte hi baDh jata hai qad se KHud saya sain

DhunDne wale pa leti hain ant samundar ka sain
thah mili nahin jis ki kisi ko dil hai wo dariya sain

manzil-e-ishq mein aise aise hosh-ruba kuchh moD mile
rah dikhane wale ghar ka bhul gae rasta sain

ishq ke tufani dariya mein jo Duba wo par gaya
kachche ghaDe ne beach bhanwar mein kis ka sath diya sain

ye data ki den hai baadal ghir ke samundar par barsa
aur kinare pyasa koi qatre ko tarsa sain

jo tufan aaya tha us ke ab koi aasar nahin
qulzum-e-dard mein dil ka safina kab ka Dub gaya sain

kan mein mere chupke chupke kaun ye kahta hai 'ishqi'
har din duniya wahi purani har shab KHwab naya sain


Source: Book : Aaghaz (Pg. 72) Author : Aazim Gurvinder Singh Kohli Publication : Aazim Gurvinder Singh Kohli, 3/78 Punjabi Bagh,New Delhi-110026 (january 1998) Edition : january 1998

Leave a comment

+