Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nafas Ambalvi

  • Ghazal


wo mera dost hai aur mujhse wasta bhi nahin


vo merā dost hai aur mujh se vāsta bhī nahīñ
jo qurbateñ bhī nahīñ haiñ to fāslā bhī nahīñ

kise ḳhabar thī ki us dasht se guzarnā hai
jahāñ se lauT ke aane kā rāsta bhī nahīñ

kabhī jo phuuT ke ro le to chain pā jaa.e
magar ye dil mire pairoñ kā aabla bhī nahīñ

sunā hai vo bhī mire qatl meñ mulavvis hai
vo bevafā hai magar itnā bevafā bhī nahīñ

vo so sakā na jise chhīn kar kabhī mujh se
maiñ us zamīn ke baare meñ sochtā bhī nahīñ

sunā thā shahr meñ har sū tumhārā charchā hai
yahāñ to koī 'nafas' tum ko jāntā bhī nahīñ

wo mera dost hai aur mujh se wasta bhi nahin
jo qurbaten bhi nahin hain to fasla bhi nahin

kise KHabar thi ki us dasht se guzarna hai
jahan se lauT ke aane ka rasta bhi nahin

kabhi jo phuT ke ro le to chain pa jae
magar ye dil mere pairon ka aabla bhi nahin

suna hai wo bhi mere qatl mein mulawwis hai
wo bewafa hai magar itna bewafa bhi nahin

wo so saka na jise chhin kar kabhi mujh se
main us zamin ke bare mein sochta bhi nahin

suna tha shahr mein har su tumhaara charcha hai
yahan to koi 'nafas' tum ko jaanta bhi nahin


Leave a comment

+