naġhme taḌap rahe haiñ dil-e-be-qarār meñ
āñkheñ baras rahī haiñ ġham-e-intizār meñ
fitrat udaas sī hai ghaTā.eñ haiñ sogvār
ik ġham-nasīb husn hai abr-e-bahār meñ
hai zarra zarra shauq-e-samā.at se be-qarār
tum gungunā rahe ho kisī ābshār meñ
sāvan kī rut bahār kā mausam añdherī raat
rim-jhim ke giit guuñj rahe haiñ phuvār meñ
sapnoñ meñ ho gayā hai saverā kahīñ mujhe
baiThā huā huuñ jaise kisī lāla-zār meñ
aisā lagā ki saath hī gaate haiñ ābshār
kyā mohnī sī lai hai tumhāre sitār meñ
kyuuñ aaj sar jhukā.e hue ro rahe ho tum
bikhre hue haiñ baal ġham-o-intishār meñ
naghme taDap rahe hain dil-e-be-qarar mein
aankhen baras rahi hain gham-e-intizar mein
fitrat udas si hai ghaTaen hain sogwar
ek gham-nasib husn hai abr-e-bahaar mein
hai zarra zarra shauq-e-samaat se be-qarar
tum gunguna rahe ho kisi aabshaar mein
sawan ki rut bahaar ka mausam andheri raat
rim-jhim ke git gunj rahe hain phuwar mein
sapnon mein ho gaya hai sawera kahin mujhe
baiTha hua hun jaise kisi lala-zar mein
aisa laga ki sath hi gate hain aabshaar
kya mohni si lai hai tumhaare sitar mein
kyun aaj sar jhukae hue ro rahe ho tum
bikhre hue hain baal gham-o-intishaar mein
Leave a comment