Subscribe to our newsletter and get our newest updates

aabid umar

  • Ghazal


jo bhi hai hasb-e-haal khinchenge


jo bhī hai hasb-e-hāl khīñcheñge
us kā naqsha kamāl khīñcheñge

chuTkī kāTegī vo sharārat se
aur ham us ke baal khīñcheñge

tujh ko mujh se milāne vaale log
donoñ jānib se maal khīñcheñge

yaar lamhoñ meñ sāmne hogā
is tarah māh-o-sāl khīñcheñge

bharne vaalā hai ye mohabbat se
vaqt par apnā jaal khīñcheñge

koī cigarette mazā na degā to phir
capstan paal mall khīñcheñge

dene hoñge javāb āḳhir-kār
tujh ko mere savāl khīñcheñge

zaḳhm ġhurbat ke sab raqam kar ke
karb-e-qaht-ur-rijāl khīñcheñge

āḳhir aanā paḌegā mere liye
tujh ko mere ḳhayāl khīñcheñge

gar ye mumkin huā to apnī taraf
ek do ḳhush-ḳhisāl khīñcheñge

itne bigḌe haiñ Dar nahīñ baaqī
kyā baḌe apne gaal khīñcheñge

merī ġhurbat milegī virse meñ
is ko mere ayaal khīñcheñge

toḌ deñ Dor hijr kī 'ābid'
kab talak ye vabāl khīñcheñge

jo bhi hai hasb-e-haal khinchenge
us ka naqsha kamal khinchenge

chuTki kaTegi wo shararat se
aur hum us ke baal khinchenge

tujh ko mujh se milane wale log
donon jaanib se mal khinchenge

yar lamhon mein samne hoga
is tarah mah-o-sal khinchenge

bharne wala hai ye mohabbat se
waqt par apna jal khinchenge

koi cigarette maza na dega to phir
capstan pal mall khinchenge

dene honge jawab aaKHir-kar
tujh ko mere sawal khinchenge

zaKHm ghurbat ke sab raqam kar ke
karb-e-qaht-ur-rijal khinchenge

aaKHir aana paDega mere liye
tujh ko mere KHayal khinchenge

gar ye mumkin hua to apni taraf
ek do KHush-KHisal khinchenge

itne bigDe hain Dar nahin baqi
kya baDe apne gal khinchenge

meri ghurbat milegi wirse mein
is ko mere ayal khinchenge

toD den Dor hijr ki 'abid'
kab talak ye wabaal khinchenge


Source: Book : Aiwan (Pg. 70) Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem Publication : Nirali Duniya (1998) Edition : 1998

Leave a comment

+