mohabbat ho ga.ī jis ko use ab dekhnā kyā hai
bhalā kyā hai burā kyā hai sazā kyā hai jazā kyā hai
zarā tum sāmne aao nazar ham se to Takrāv
kise phir hosh ho tum ne kahā kyā hai sunā kyā hai
mohabbat jurm aisā hai ki mujrim hai khaḌā be-sudh
kiyā kyā hai gunah kyā hai sazā kyā hai ḳhatā kyā hai
na aanā ishq ke bāzār meñ andhī tijārat hai
diyā kyā hai liyā kyā hai bikā kyā hai bachā kyā hai
zamāna jhuum uTThā hai sadā-e-dād aatī hai
na jaane aaj 'māham' ne ġhazal meñ kah diyā kyā hai
mohabbat ho gai jis ko use ab dekhna kya hai
bhala kya hai bura kya hai saza kya hai jaza kya hai
zara tum samne aao nazar hum se to Takraw
kise phir hosh ho tum ne kaha kya hai suna kya hai
mohabbat jurm aisa hai ki mujrim hai khaDa be-sudh
kiya kya hai gunah kya hai saza kya hai KHata kya hai
na aana ishq ke bazar mein andhi tijarat hai
diya kya hai liya kya hai bika kya hai bacha kya hai
zamana jhum uTTha hai sada-e-dad aati hai
na jaane aaj 'maham' ne ghazal mein kah diya kya hai
Leave a comment