Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aazim Kohli

  • Ghazal


subu uTha mere saqi ki raat jati hai


subū uThā mire saaqī ki raat jaatī hai
nazar milā mire saaqī ki raat jaatī hai

ki tū manā.e mujhe is liye maiñ rūThā huuñ
mujhe manā mire saaqī ki raat jaatī hai

hai merī jaan mirī jaañ tire tabassum meñ
tū muskurā mire saaqī ki raat jaatī hai

shab-e-visāl kī ḳhushbū fazā kī rañgīnī
kahīñ se lā mire saaqī ki raat jaatī hai

kisī bahār kā naġhma koī suhānī ġhazal
tū gungunā mire saaqī ki raat jaatī hai

phir ik fareb meñ ye shab guzar na jaa.e kahīñ
qasam na khā mire saaqī ki raat jaatī hai

qarīb ho ke bhī 'āzim' ke tū qarīb nahīñ
palaT ke aa mire saaqī ki raat jaatī hai

subu uTha mere saqi ki raat jati hai
nazar mila mere saqi ki raat jati hai

ki tu manae mujhe is liye main ruTha hun
mujhe mana mere saqi ki raat jati hai

hai meri jaan meri jaan tere tabassum mein
tu muskura mere saqi ki raat jati hai

shab-e-visal ki KHushbu faza ki rangini
kahin se la mere saqi ki raat jati hai

kisi bahaar ka naghma koi suhani ghazal
tu gunguna mere saqi ki raat jati hai

phir ek fareb mein ye shab guzar na jae kahin
qasam na kha mere saqi ki raat jati hai

qarib ho ke bhi 'azim' ke tu qarib nahin
palaT ke aa mere saqi ki raat jati hai


Leave a comment

+