Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daud Aurangabadi

  • Ghazal


fariyaad sada-e-nafas aawaz-e-jaras hai


fariyād sadā-e-nafas āvāz-e-jaras hai
kyā qāfila-e-umr kuuñ chalne kā havas hai

jo sāf-dil hai us meñ kudūrat kā asar niiñ
har-chand agar dushman-e-ā.īna nafas hai

letā huuñ apas madrasa-e-dil meñ sabaq maiñ
us shoḳh murdarris kā vahāñ jab suuñ daras hai

yak lamha na ho mujh suuñ judā ai mah-e-tābāñ
har aan tire hijr kā mujh haq meñ baras hai

'dā.ūd' na kar pursish-e-mahshar satī kuchh ḳhauf
vaañ āl-e-mohammad kī shafā.at tujhe bas hai

fariyaad sada-e-nafas aawaz-e-jaras hai
kya qafila-e-umr kun chalne ka hawas hai

jo saf-dil hai us mein kudurat ka asar nin
har-chand agar dushman-e-aina nafas hai

leta hun apas madrasa-e-dil mein sabaq main
us shoKH murdarris ka wahan jab sun daras hai

yak lamha na ho mujh sun juda ai mah-e-taban
har aan tere hijr ka mujh haq mein baras hai

'daud' na kar pursish-e-mahshar sati kuchh KHauf
wan aal-e-mohammad ki shafaat tujhe bas hai


Leave a comment

+