Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Parwaz

  • Ghazal


dil ke luTne pe kya kare koi


dil ke luTne pe kyā kare koī
kis se jā kar pata kare koī

sochtā huuñ ki kis bharose par
jaan tum par fidā kare koī

ya.anī umr-e-ḳhizar to hāsil ho
chand sāñsoñ kā kyā kare koī

ek hī to sadā-e-majnūñ hai
mere dukh kī davā kare koī

us pe lāzim usī kā ho jaanā
jis ko kuchh bhī atā kare koī

koī rasta nikal hī aatā hai
ik zarā aasrā kare koī

gaah chaltī ba-gāh ruktī hai
aisī dhaḌkan kā kyā kare koī

juuñ farishta ajal kā aatā hai
aise vāda-vafā kare koī

saḳht mushkil hai fil-badīh kahnā
chhed hiire meñ kyā kare koī

dil ke luTne pe kya kare koi
kis se ja kar pata kare koi

sochta hun ki kis bharose par
jaan tum par fida kare koi

yani umr-e-KHizar to hasil ho
chand sanson ka kya kare koi

ek hi to sada-e-majnun hai
mere dukh ki dawa kare koi

us pe lazim usi ka ho jaana
jis ko kuchh bhi ata kare koi

koi rasta nikal hi aata hai
ek zara aasra kare koi

gah chalti ba-gah rukti hai
aisi dhaDkan ka kya kare koi

jun farishta ajal ka aata hai
aise wada-wafa kare koi

saKHt mushkil hai fil-badih kahna
chhed hire mein kya kare koi


Leave a comment

+