Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Unwan Chishti

  • Ghazal


mere shanon pe unki zulf lahrai to kya hoga


mire shānoñ pe un kī zulf lahrā.ī to kyā hogā
mohabbat ko ḳhunuk saa.e meñ niind aa.ī to kyā hogā

pareshāñ ho ke dil tark-e-ta.alluq par hai āmāda
mohabbat meñ ye sūrat bhī na raas aa.ī to kyā hogā

sar-e-mahfil vo mujh se be-sabab āñkheñ churāte haiñ
koī aise meñ tohmat un ke sar aa.ī to kyā hogā

mujhe paiham mohabbat kī nazar se dekhne vaale
mire dil par tirī tasvīr utar aa.ī to kyā hogā

bahut masrūr haiñ vo chhīn kar dil kā sukūñ 'unvāñ'
hujūm-e-ġham meñ bhī mujh ko hañsī aa.ī to kyā hogā

mere shanon pe un ki zulf lahrai to kya hoga
mohabbat ko KHunuk sae mein nind aai to kya hoga

pareshan ho ke dil tark-e-talluq par hai aamada
mohabbat mein ye surat bhi na ras aai to kya hoga

sar-e-mahfil wo mujh se be-sabab aankhen churaate hain
koi aise mein tohmat un ke sar aai to kya hoga

mujhe paiham mohabbat ki nazar se dekhne wale
mere dil par teri taswir utar aai to kya hoga

bahut masrur hain wo chhin kar dil ka sukun 'unwan'
hujum-e-gham mein bhi mujh ko hansi aai to kya hoga

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 mere shanon pe unki zulf lahrai to kya hoga Nomaan Shauque

Source:

Leave a comment

+