Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Haidar raza Koralvi

  • Ghazal


kyon KHafa ho mere dilbar ye batao mujhko


kyoñ ḳhafā ho mire dilbar ye batāo mujh ko
aise ḳhāmosh to rah kar na satāo mujh ko

soch kar bas yahī din raat taḌaptā huuñ maiñ
vaqt aa.e vo gale phir se lagāo mujh ko

be-qarārī ke sabab chain nahīñ miltā hai
jo bhī ahvāl haiñ dil ke vo sunāo mujh ko

dūriyāñ kis liye aa.ī haiñ hamāre mābain
kuchh to bolo ki na ab aise satāo mujh ko

ruuTh jaane kā sabab kyā hai batā kar jaao
chhoḌ kar aise taḌaptā to na jaao mujh ko

dard siine meñ uThā hai mire jaanī dekho
dekhne maut se pahle chale aao mujh ko

girte 'haidar' ke ye āñkhoñ se pukāre motī
paas ik baar mujhe apne bulāo mujh ko

kyon KHafa ho mere dilbar ye batao mujh ko
aise KHamosh to rah kar na satao mujh ko

soch kar bas yahi din raat taDapta hun main
waqt aae wo gale phir se lagao mujh ko

be-qarari ke sabab chain nahin milta hai
jo bhi ahwal hain dil ke wo sunao mujh ko

duriyan kis liye aai hain hamare mabain
kuchh to bolo ki na ab aise satao mujh ko

ruTh jaane ka sabab kya hai bata kar jao
chhoD kar aise taDapta to na jao mujh ko

dard sine mein uTha hai mere jaani dekho
dekhne maut se pahle chale aao mujh ko

girte 'haidar' ke ye aankhon se pukare moti
pas ek bar mujhe apne bulao mujh ko


Source: Book : vo jo shairi ka sabab hua (Pg. 70) Publication : Kaliim aajiz

Leave a comment

+