chehre jitne ruup badaltā rahtā hai
ā.īne meñ naqs nikaltā rahtā hai
zehn pe baḌhtā jaatā hai sadiyoñ kā dabāv
lamha kaise karb meñ Dhaltā rahtā hai
dil hī nahīñ raushan to din kyā niklegā
sūraj to tārīḳh badaltā rahtā hai
yādoñ tanhā.ī se bāteñ kartī haiñ
sannāTā āvāz badaltā rahtā hai
ik lamhe kī haqīqat tak jaane ke liye
ḳhvāb ka.ī sadiyoñ tak chaltā rahtā hai
chehre jitne rup badalta rahta hai
aaine mein naqs nikalta rahta hai
zehn pe baDhta jata hai sadiyon ka dabaw
lamha kaise karb mein Dhalta rahta hai
dil hi nahin raushan to din kya niklega
suraj to tariKH badalta rahta hai
yaadon tanhai se baaten karti hain
sannaTa aawaz badalta rahta hai
ek lamhe ki haqiqat tak jaane ke liye
KHwab kai sadiyon tak chalta rahta hai
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment